Ahmad Faraz born Syed Ahmad Shah on 12 January 1931 in Kohat was a Pakistani Urdu poet. Ahmed faraz shayari and urdu poetry at UrduWire Forum – Ahmad Faraz was a well-known Pakistani Urdu poet. He is still regarded as one of the utmost modern Urdu poets of the previous century. Ahmad Faraz fictitious name or ‘takhallus’ is “Faraz” while his actual name was Syed Ahmad Shah. Ahmed Faraz studied Persian and Urdu at the Peshawar University. His renowned NAZAM, “Khwaab martay naheen” awoke many Muslim to do something in their lives.He was acclaimed one of the modern Urdu poets of the last century. ‘Faraz’ is his pen name, (in Urdu takhalus). He died in Islamabad on 25 August 2008.may his soul rest in peace ameen.
Kshti ko saahil pe uchaal doon ga..
Ahmad Faraz Poetry
Doobty doobty kashti ko saahil pe uchaal doon ga,
Mein nahi koi to saahil pe utar jaye ga..
Ab tere zikr pe hum baat badal dete hain..
Ahmad Faraz Poetry
Ab tere zikr pe hum baat badal dete hain,
Kitni raghbat* thi tere naam se pehle pehle..
(raghbat;attraction)
Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Ahmad Faraz Poetry
Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz”
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili
Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga
Kon
Ahmad Faraz Poetry
Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?
Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?
Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay
Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?
Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?
Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz”
Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon ?
Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
Ahmad Faraz Poetry
Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ?
TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere
Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai
Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere
Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman
Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere
Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere
Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko
Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere
TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere
Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere
Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere
Hum na hotey to kisi aur ke charchey hotey..
Ahmad Faraz Poetry
Hum na hotey to kisi aur ke charchey hotey,
Halqat*-e-sheher to kehne ko fasaaney mangey..
(halqat;public)
Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi
tha..
Ahmad Faraz Poetry
Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha,
Ab kiss se kahen koi hamara bhi kabhi tha,
Utra hai rag-o-pey* main to dil katt sa geya hai,
Yeh zeher-e-judaayi ke gawaara bhi kabhi tha,
Har dost jahan abar-e-gurezaan ki tarah hai,
Yeh sheher kabhi sheher hamara bhi kabhi tha,
Titlii ke taaqub* mein koi phool sa bacha,
Aesa hi koi khawb hamara bhi kabhi tha,
Ab agley zamaney ke milain log to poochain,
Jo haal hamara hai, tumhara bhi kabhi tha,
Har bazm main hum ne usey afsurdaa hi dekha,
Kehtey hain Faraz anjuman-e-araa* bhi kabhi tha..
(rag-o-pey;inside the soul, taaqub;chase,
anjuman-e-araa;happy)
Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe
Ahmad Faraz Poetry
Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe
Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe
Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain
Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe
Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam
Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe
Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay
Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe
Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar
Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe
Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer
“Faraz” Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe
Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay
Ahmad Faraz Poetry
Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay
In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay
Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali
Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz Azaabon Waalay
Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain
Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waalay
Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab Zani Kartay Thay
Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay
Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho Tou Ho Jaatay Hain
Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Waalay
Na Mere Zakham Khilay Hain Na Tera Rang-e-Hina
Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye Gulaabon Waalay
Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai “Faraz”
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay
Huaa hai tujh se bicharney ke baad ab maloom..
Ahmad Faraz Poetry
Huaa hai tujh se bicharney ke baad ab maloom,
Ke tu nahin tha, tere sath aik dunyaa thi..
Humi ne tark-e-taluq main pehel ki ke..
Ahmad Faraz Poetry
Humi ne tark-e-taluq main pehel ki ke Faraz,
Woh chahtaa tha magar hauslaa na tha us ka..
Beniyaaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jana
Ahmad Faraz Poetry
Beniyaaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jana,
Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujhse Juda Ho Jana,
Main Bhi Palkon Pe Saja Lunga Lahoo Ki Boondein,
Tum Bhi Paabasta-E-Zanjeer-E-Heena Ho Jana,
Khalq Ki Sang-Zani Meri Khaton Ka Sila,
Tum Tou Masoom Ho, Tum Door Zara Ho Jana,
Ab Mere Waaste Tariyaq Hai Ilhaad Ka Zeher,
Tum Kisi Aur Pujaari Ke Khuda Ho Jana
Yeh kya ke beyaan sab se dil ki haaltain..
Ahmad Faraz Poetry
Yeh kya ke beyaan sab se dil ki haaltain karni,
Faraz tujh ko na aayin mohabbtain karni..
Abhi abhi woh mila tha hazaar
batain ki..
Ahmad Faraz Poetry
Abhi abhi woh mila tha hazaar batain ki’n,
Abhi abhi woh geya hai magar zamaana hua..
Zikr us ka hi sahi bazm main bethe ho..
Ahmad Faraz Poetry
Zikr us ka hi sahi bazm main bethe ho Faraz,
Dard kesa hi uthay hath na dil par rakhna.
Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay
Ahmad Faraz Poetry
Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay
Jaisay Kubhi Aashna Nahi Thay
Maana Ke Behem Kahan Thay Aisay
Per Yun Bhi Judaa Judaa Nahi Thay
Thi Jitni Bisaat, Ki Parastish
Tum Bhi Tou Koi Khudaa Nahi Thay
Had Hoti Hai Tanz Ki Bhi Aakhir
Ham Tere Nahi Thay, Jaa Nahi Thay
Kis Kis Se Nibhaatay Rafaaqat
Hum Loog Ke Bewafa Nahi Thay
Rukhsat Howa Wo Tou Mein Ne Dekha
Phool Itnay Bhi Khushnuma Nahi Thay
Thay Yun Tou Hum Oski Anjuman Mein
Koi Hamain Dekhta, Nahi Thay
Jab Osko Tha Maan Khud Pe Kia Kia
Tab Ham Bhi “Faraz” Kia Nahi Thay
Woh aik raat guzar bhi gayi magar ab tak
Ahmad Faraz Poetry
Woh aik raat guzar bhi gayi magar ab tak,
Visaal-e-yaar ki lazzat mein toot’ta hai badan..
Woh zindagi ho ke dunya Faraz kya kijiy
Ahmad Faraz Poetry
Woh zindagi ho ke dunya Faraz kya kijiye,
Ke jiss se ishq karo bewafa nikalti hai..
Toota to hoon magar abhi bikhraa nahin
Ahmad Faraz Poetry
Toota to hoon magar abhi bikhraa nahin Faraz,
Mere badan pe jese shikaston ka jaal ho..
(shikaston;losses)
Chandni Raat Ko Saher Kehna
Ahmad Faraz Poetry
Chandni Raat Ko Saher Kehna
Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna,
Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki
Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna,
Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh
In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna,
Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo
Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna,
Khud Ujaagar Karo Hunar Apna
Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna,
Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein
Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna,
Zikar Teraa Gali Gali Karna
Haal Apna Nagar Nagar kehna,
Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai “Faraz”
Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna.
qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaao
Ahmad Faraz Poetry
qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaao
qazaa se aa.Nkh la.Dii hai zaraa Thahar jaao
thakii thakii sii fazaaye.N bujhe bujhe taare
ba.Dii udaas gha.Dii hai zaraa Thahar jaao
nahii.n ummiid ki ham aaj kii sahar dekhe.n
ye raat ham pe ka.Dii hai zaraa Thahar jaao
abhii na jaao ki taaro.n kaa dil dha.Dakataa hai
tamaam raat pa.Dii hai zaraa Thahar jaao
phir is ke baad kabhii ham na tum ko roke.nge
labo.n pe saa.Ns a.Dii hai zaraa Thahar jaao
dam-e-firaaq me.n jii bhar ke tum ko dekh to luu.N
ye faisale kii gha.Dii hai zaraa Thahar jaao
Aansu`oon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne
Ahmad Faraz Poetry
Aansu`oon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne
Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne,
Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha
Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne,
Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne,
Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa
Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne,
Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh “FARAZ”
Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne.
Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga
Ahmad Faraz Poetry
Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga
Waqt Ka Kia Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga
Itna Manoos Na Ho Khilwat-e-Gham Se Apni
TU Kubhi Khud Ko Bhi Dekhay Ga Tou Dar Jaye Ga
Tum Sar-e-Raah Wafa Dekhtay Reh Jao Ge
Aur Wo Baam-e-Rafaqat Se Utar Jaye Ga
Zindagi Teri Ata Hai Tou Ye Jaanay Wala
Teri Bakhshish Teri Dehleez Pe Dhar Jaye Ga
Doobtay Doobtay Kishti Ko Uchaala De Dun
Mein Nahi Koi TU Saahil Pe Utar Jaye Ga
Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka “Faraz”
Zaalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga Tou Mar Jaye Ga
Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein
Ahmad Faraz Poetry
Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein
Kiun Na Ay Dost Ham Judaa Ho Jayein ?
TU Bhee Heeray Se Ban Gaya Patthar
Ham Bhee Kal Jaanay Kia Se Kia Ho Jayein
Hum Bhee Majboorion Ka Uzar Karain
Phir Kaheen Aur Mubtala Ho Jayein
Ab Ke Gar TU Milay Tou Ham Tujhse
Aisay Liptain Teri Qabaa Ho Jayein
Bandagi Ham Ne Chhod Di Hai “Faraz”
Kia Karain Jub Loog Khuda Ho Jayein
Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge
Ahmad Faraz Poetry
Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge
Loog Aaraam Se Soye Honge
Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil
Hum Tou Kia Aap Bhee Roye Honge
Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kia Kia
Phool Kaanton Mein Piroye Honge
Wo Safeenay Jinhain Toofan Na Milay
Na-Khudaon Ne Duboyein Honge
Kya Ajab Hai Wo Milay Bhee Hon “Faraz”
Hum Kisi Dehaan Mein Khoye Honge
Umar bhar ka maan toota, aur kya..
Ahmad Faraz Poetry
Umar bhar ka maan toota, aur kya,
Morr aya, sath choota, aur kya,
Kon sach kehta hai, sach sunta hai kon,
Main bhi jhoota, tu bhi jhoota, aur kya,
Jaan se jaana zaroori to nahin,
Aashiqui mein sar to phoota, aur kya,
Rote huye laal pathar ho gaye,
Rafta rafta rang choota, aur kya,
Reh gaya tha yaad ka rishta faqat,
Akhrish yeh pul bhi toota, aur kya,
Us ki ankhain bhi kabhi sach bolti’n,
Dil to tha jhooton sa jhoota, aur kya,
Ghair to they ghair apne aap ko,
Sab se barh kar hum ne loota, aur kya,
aao dekho to zara baagh-e-wafaa,
Ab koi gul hai na boota, aur kya,
Fitna samaani mein yaksaan hain Faraz,
Apna dil ho ya kahuta, aur kya..
Teri Baatein Hi Sunaane Aaye
Ahmad Faraz Poetry
Teri Baatein Hi Sunaane Aaye
Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye
Phool khilte Hain To Ham Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamaane Aaye
Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise
Ham Tujhe Haal Sunaane Aaye
Ishq Tanha Hai Sar-e-Manzil-e-Gham
Kaun Ye Bojh Uthane Aaye ?
Ajnabi Dost Hamein Dekh K Ham
Kuch Tujhe Yaad Dilaane Aaye
Dil Dhadakta Hai Safar K Hangam
Kaash Phir Koi Bulaane Aaye
Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye
Kyaa Kahein Phir Koi Basti Ujdii
Log Kyun Jashn Manaane Aaye ?
So Raho Maut Ke Pehluu Mein ‘Faraz’
Neend Kis Vaqt Na Jaane Aaye
Apni mehroomi ke ehsaas se sharminda hain
Ahmad Faraz Poetry
Apni mehroomi ke ehsaas se sharminda hain,
Khud nahin rakhte to auron ke bujhate hain chiragh..
Dil-e-Khush Fehem Ko Tujh Se Hain Umeedain
Ahmad Faraz Poetry
Ab Tak Dil-e-Khush Fehem Ko Tujh Se Hain Umeedain,
Yeh Aaakhri Shamaa Bhi Bhujaane Ke Liye Aa..
(shamaa;light)
Ab Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein
Milain
Ahmad Faraz Poetry
Ab Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milain
Jis Tarah Sukhe Huye Phool Kitabon Mein Milain
Dhoond Ujre Huye Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milain
Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Bardhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milain
TU Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain Tou Kyun Hijabon Mein Milain ?
Aaj Hum Daar Pe Khainchay Gaye Jin Baaton Par
Kya Ajab Kal Wo Zamaanay Ko Nisaabon Mein Milain
Ab Na Wo Main Hun, Na TU Hai, Na Wo Maazi Hai “Faraaz”
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milain..
Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai
Ahmad Faraz Poetry
Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai
Kiya Baad-e-Muraad Chal Rahi Hai,
Hum Hain Ke Faraib Kha Rahe Hain
Duniya Hai Ke Chaal Chal Rahi Hai,
Yoon Dil Mein Hai Teri Yaad Jaise
Weerane Mein Aag Jal Rahi Hai,
Rukh Pher Liya Hai Jab Se Tune
Duniya Ki Nazar Badal Rahi Hai,
Dar Pesh Hai Aaj Bhi Wohi Surat-e-Haal
Jo Soorat-e-Haal Kal Rahi Hai,
Itni Bhi “Faraz” Bad Dili Kiya ?
Sambhlo ! Ke Fizaa Badal Rahi Hai
Raatain Hain Udaas, Din Karry hain..
Ahmad Faraz Poetry
Raatain Hain Udaas, Din Karry hain
Ay Dil Tere Honslay Baray Hain
Ay Yaad-e-Habib Sath Daina
Kuch Marhalay Sakht Aa Paray hain
Rukna Ho Agar Tou So Bahaanay
Jaana Ho Tou Rastay Baray Hain
Ab Kaisay Btayen Waja-e-Girya
Jab Aap Bhi Saath Ro Pary Hain
Ab Jaanay Kahan Naseeb Lay Jaye
Ghar Se Tou “FARAZ” Nikal Paray Hain
Phiray Ga Tu Bhi Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari
Tarah
Ahmad Faraz Poetry
Phiray Ga TU Bhee Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari Tarah
Dareedah Daaman-o-Aashafta Muu Hamari Tarah
Kubhi Tou Sang Se Phootay Gi Aabajuu Gham Ki
Kubhi Tou Toot Ke Roye Ga TU Bhee Hamari Tarah
Palat Ke Tujh Ko Bhee Aana Hai Is Taraf Laikin
Lutaa Ke Qaafila-e-Rang-o-Buu Hamari Tarah
Wo Laakh Dushman-e-Jaan Ho Magar Khuda Na Karay
Ke Os Ka Haal Bhee Ho Huu-Ba-Huu Hamari Tarah
Hum Hee “Faraz” Sazawaar-e-Sang Kiun Tehray ?
Ke Aur Bhee Tou Hain Dewaana-e-Khuu Hamari Tarah
Mein tujhe kho ke bhi zinda hoon.
Ahmad Faraz Poetry
Mein tujhe kho ke bhi zinda hoon, Yeh dekha tu ne,
Kiss qadar hauslaa haarey huye insaan mein hai..
Mein Aao Faraz So Jayein
Ahmad Faraz Poetry
Shab-e-Firaaq Tou Kat’ti Nazar Nahi Aati,
Khayaal-e-Yaar Mein Aao Faraz So Jayein…!
Zahid sharab peene de masjid mein beth kar..
Ahmad Faraz Poetry
Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
(Mirza Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
(Allama Iqbal)
Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
(Ahmad Faraz)
Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai
Ahmad Faraz Poetry
Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai
Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain
Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai
Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain
Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula
Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain
In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ?
Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain
Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun,
Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain
Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai
Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain
Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere
Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain
Hui Hai Shaam Tou Aankhon Mein Bas Gayaa Phir
Tu
Ahmad Faraz Poetry
Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu,
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu,
Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se,
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,
Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N
Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,
Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii
Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu,
Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?
‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa
Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..
Tota tu ho magar abhi bikhra ny faraz
Ahmad Faraz Poetry
Tota tu ho magar abhi bikhra ny faraz
mery badan pay jesy shikaston ka jaal ho
Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat
Ahmad Faraz Poetry
Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat,
Wagarna tark-e-taluq ki soortain theen bohat,
Miley to toot roye na khul ke batain keen,
Ke jese ab dilon mein Kudurtain theen bohat,
Bula diye hain tere gham ne dukh zamane ke,
Khuda nahin tha tou pathar ki moortain theen bohat,
Dareeda peerhano ka khayal kya ata,
Ameer sheher ki apni zarooratain theen bohat,
Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha,
Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat.
(Chor:Something
Fishy)(Tark-e-Taluq:Boycott)(Moortain:Idols)(Ikhtlaaf:Not Agreeing)
Suna hai log usey ankh bhar ke dekhte hain
Ahmad Faraz Poetry
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain
Chain o Sakoon
Ahmad Faraz Poetry
Is qadar qemti to na tha mera chain-o-Sakon Faraz
Loot kr lay gya wo kissi anmol khazany ki tarah..
Dil se Utar Ja
Ahmad Faraz Poetry
Ankh se door na ho dil se utar jaye ga
waqt ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga
itna manoos na ho khalwat.e.gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga
tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay
aur woh baam-e-rafaqat se uter jaye ga
dobtay dobtay kashti ko uchaala day don
mein nahin koi tu sahil pe uter jaye ga
zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka “faraz”
zalim ab ke bhi na roye ga tu mar jaye ga…!!!
Uski Aankhain
Ahmad Faraz Poetry
Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi,
Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolney Walon Jesi….
Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski,
K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi….
Uski Baatein Bhi DiL’aawez Hen Surat Ki Tarha,
Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi..
Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “FARAZ”
Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi…
Mera Pehla Pyaar
Ahmad Faraz Poetry
Tu Meraa Pehla Piyar Sajan
Tu Dilbar Tu Dildaar Sajan,
Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan
Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan,
Tu Qudrat Ka Shahkaar Sajan
Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan,
Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-Gazal
Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan,
Soorat Teri Bholi Bhaali
Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan,
Dil Ki Baaten Tum Se Karna
Main Bhoola Hoon Har Baar Sajan,
Main Buzdil Hoon Main Pagal Hoon
Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan,
Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar
Main Zakhmi Main Lachaar Sajan,
Na Tum Se Jis Din Baat Kare
Dil Rehta Hai Bezaar Sajan,
Jis Janib Bhi Ab Dekhon Main
Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan,
Tum Bhi Maano Ek Baat Meri
Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan
Naam e Wafa
Ahmad Faraz Poetry
Dunya mein mat dhoond naam-e- wafa
“faraz”
Dilon se khelte hein log bana ke humsafar apna…
Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain
Ahmad Faraz Poetry
Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain
Kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
Ab vahi log hamain abalapa kahte hain
Koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
Ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain
Ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
Gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain
Jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
Ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain
Kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko ‘faraz’
Wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain
Pathar na aye ga
Ahmad Faraz Poetry
Yun phir raha hai kaanch ka peiker liye howey
Ghafil ko yeh gumaan hai ke pathar na aye ga
Shayari
Ahmad Faraz Poetry
Shayari, aawargi, khushbu, wafaa, lazzat, sharaab
Mukhtalif shaklon main shehzaade ko aurat chahiye ..!
Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Ahmad Faraz Poetry
Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho
Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai
Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho
Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN
Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho
Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN
Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho
Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho
Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho
Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai
Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho
Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho
Ae jaan-e-’Faraz’ itni bhi taufeeq kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho
Tamaam umar
Ahmad Faraz Poetry
Ye kyaa ke sab se bayaan dil ki haalaten karani
`Faraz` tujh ko na aain muhabbaten karani
Ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hamen
Shumaar abhi se judaai ki sa`aten karani
Koi khudaa ho ke patthar jise bhi ham chaahen
Tamaam umr usi ki ibaadaten karani
Sab apane apanee qarine se muntazir us ke
Kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karani
Ham apane dil se hain majabuur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayaamaten karani
Milen jab un se to mubaham si guftaguu karanaa
Phir apane aap se sau-sau vazaahaten karani
Ye log kaise magar dushmani nibhaaten hain
Hamin ko raas na aain muhabbaten karani
Kabhi `faraz` naye mausamon men ro denaa
Kabhi talaash puraani raqaabaten karani…!!!!
Ghazal Bahana Karun
Ahmad Faraz Poetry
Karoon na yaad magar kistrah bhulaoon ussay,
Ghazal bahana karoon aur gungunaoon ussay,
Wo khaar khaar hay shakh-e-gulab ki manind,
Main zakhm zakhm hon magar galay lagaoon ussay,
Yeah loog tazkaray kartay hain apnay logon k,
Main kaisay baat karon, Ab kahan say laoon ussay,
Magar wo zood-faramoosh zood-runj bhi hay,
K rooth jayay, Agur yaad kuch dilaoon ussay,
Jo humsafar sar-e-manzil bichar raha hay faraz,
Ajjab nahi hay, agur yaad bhi na aaon ussay…!
Ae khuda
Ahmad Faraz Poetry
Dukh fasana nahi k tujh se kahain
Dil bhi mana nahi k tujh se kahain,
Ek tu harf aashna tha magar
Ab zamana nahi k tujh se kahain,
Ae khuda dard e dil hai bakhshish e dost
Aab o daanaa nahi k tujh se kahain
Be tarah haal e dil hai aur tujh se
Dostana nahi k tujh se kahain
Qasidaa hum faqeer logon ka
Ek thikana nahi k tujh se kahain
Ab to barson se us gali men FaRAZ
Aana jaana nahi k tujh se kahain
Tum Khud Ko Juda
Ahmad Faraz Poetry
Phool Shaak Se Bichre To Kaheen Ka Nahi Rehta “Faraz”
Tum Khud Ko Juda Meri Zaat Se Soch K Karna………
JaB Tak
Ahmad Faraz Poetry
Na janE KaB Se Ho GayE ItNay ShiDDat PasaNd HaM ?
FArAz !
JaB Tak ZakhaM Na KhAyEn tAssalEE nAhi hoTi ?
Jatay Hoe
Ahmad Faraz Poetry
Us Shaks Ko To Bichadeny Ka Saleka Nahi ” FARAZ”
Jatay Hoe Khud KO Mere Pass Chor Gaya .
Muskura diya
Ahmad Faraz Poetry
Dekha mujhe toh tarke taluk ke bawajood .
woh muskura diya yeh hunar bhi usi ka tha.,.
Apni Nakaami
Ahmad Faraz Poetry
Apni Nakaami ka EK Yeh Bhi Sabab Hai FaRaZ.
Cheez Jo Mangte Hain Sb Se Juda Mangte Hain.
Dard kia hota hai
Ahmad Faraz Poetry
Dard kia hota hai batayein Gay kisi roz
Kamal ki Ghazal tum ko sunayein Gay kisi roz
Thi un ki zid k main jaaoun un ko manane
Mujh ko ye veham tha wo bulayein Gay kisi roz
kabi b maine to socha b nahi tha
Wo itna mere dil ko dukhayein Gay kisi roz
Har roz Sheshay se yehi poochta hoon main
Kia rukh pe tabassum sajayein Gay kisi roz
Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout AAyein Gay kisi roz
Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum
Zakhum-e-jigar tamaam log dekhein Gay kisi roz
Dil hi dukhany k liye
Ahmad Faraz Poetry
Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa
aa phir e mjhy chor k jany k liye aa
pehly se marasim na sahi phir b kabi to
rasm-o-rahy dunya hi nibhany k liye aa
kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa
ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden
ye aakhri shammen b bujhany k liye aa
Dil jala ker…
Ahmad Faraz Poetry
Ab jis k ji main aye wohi pa le roshni
humne to dil jala?ker sar-e-rah rakh dia
Rasty ka dia
Ahmad Faraz Poetry
Rasty ke jis diye ko samajhty thy hum haqeer
wo dia ghar tak pohonchny ka bahana ban gya
Ankh main khamoshi
Ahmad Faraz Poetry
Ankh main khamoshi, labon pe sawal, rukh pe sadgi
kesy kesy rang hain is tasveer main
Shikayat kesi?
Ahmad Faraz Poetry
Hawa k doosh pe rakha hua chiragh tha wo
jo bujh gya to hawa se shikayat kesi
Dua wo kerty…
Ahmad Faraz Poetry
Tumhi ne humko sunaya na apna dukh warna
Ahmad Faraz Poetry
Tumhi ne humko sunaya na apna dukh warna
dua wo kerty ke asmaan hilla detty
Naam le k tera
Ahmad Faraz Poetry
Naam le ke tera log mujh se pujh rahy hain kia kia
main dar rahi hun kahi mujh se HAAN na ho jae
Mohabat kam nahi hoti
Ahmad Faraz Poetry
Ye dunya gum to deti hai shareek-e-gum nahi hoti
kisi k door jany se mohabat kam nahi hoti
Labon pe hansi
Ahmad Faraz Poetry
Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha
kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
jo meri ik ik cheez sanbhal rakhta tha
suna hai log ab boht sataty hain usy
main jis ka itna khyal rakhta tha
Kisi aur k nam
Ahmad Faraz Poetry
koi aisa pyar ka bazaar hota
koi aisa pyar ka bazaar hota
jis main nilaam wo sar-e-bazar hota
hum usy khareedty sab juch beech kar
aur phir dekhty kesy wo kisi aur k naam hota
Aik Ansoo…
Ahmad Faraz Poetry
kisi ke aik anso par hazaron dil tarapty hain
kisi ka umer bhar ka roona unhi bekaar jata hai
Pyar ka wasta
Ahmad Faraz Poetry
Usne mohabat ki kasam di hai
aur pyar ka wasta bhi likha hai
usne na any ko kaha hai aur
saaf saaf lafzon main rasta bhi likha hai
Koi bat nahi,
Ahmad Faraz Poetry
Tum mujy khaak? bhi samjho to koi bat nahi
ye bhi urti hai to ankhon main sama jati hai
Koun Kisi K Sath….
Ahmad Faraz Poetry
Koun kisi k sath kitna mukhlis hai faraz
Waqt sab ki aukaat bta deta hai
Maayos q ho?
Ahmad Faraz Poetry
Ab maayos q ho us ki bewafai pe Faraz?
tm khud hi to kehty thy k wo sab se juda hai
Ghar Mohabat ka
Ahmad Faraz Poetry
Asaan nahin aabad karna ghar mohabat ka
ye unka kaam hai jo zindagi barbad karty hain..
Samander-e-Ishq
Ahmad Faraz Poetry
Tu kisi aur ke liye hoga samander-e-ishq
hum to rooz tery sahil se piyasy guzar jaty hain
Mujhy yaad na ana
Ahmad Faraz Poetry
Tjhy bholny ki koshish karun ga main Faraz
ho saky to tum b mujhy yaad na ana
Taqseem kar dia…
Ahmad Faraz Poetry
Taash ke patton ki manind hai zindagi apni
Jis ne bhi khela taqseem kar dia
Uske liye…
Ahmad Faraz Poetry
Usne mujh chor dia to kia hua Faraz
Mane bhi to chora tha sara jahan us k liye
Mohabat k siwa
Ahmad Faraz Poetry
Aur bhi dukh hain zamany mainmohabat k siwa
mane tumse hi nahi sab se mohabt ki hai
Fursat na mili
Ahmad Faraz Poetry
Tujhy fursat hi na milli parhny ki faraz
hum tery sheher main bikty rahy kitabon ki tarha
Barshein Rukti He Nahi Faraz
Ahmad Faraz Poetry
Iss Dafa Barshein Rukti He Nahi Faraz,
Hum Ne Ansu Kia Piye Sare Mosam Ro Pare !!!!
Munfrid Rehne Ka Shoq Faraz,
Ahmad Faraz Poetry
Kahin Tanha Na Kar De Tujhe Munfrid Rehne Ka Shoq Faraz,
Jub Din Dhale Tu Kisi Se Haal-e-Dil Keh Dia Kar.
Ab Nend Se Kaho
Ahmad Faraz Poetry
Ab Nend Se Kaho Hum Se Sulah Kar Le Faraz,
Wo Dour Chala Gaya Hai Jis K Lie Hum Jaga Karty Thy.
In Barishon Se Dosti
Ahmad Faraz Poetry
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Makan Hai Tera Kuch Yu Khayal kar.
Mujhe Kehta Hai Jhooti
Ahmad Faraz Poetry
Mujhe Kehta Hai Jhooti Hain Teri Beykar Se Baatein Faraz,
Magar Lagta Hai Wo Meri Unhi Baaton Pe Marta Hai?.
Yaad Ka NAsha
Ahmad Faraz Poetry
Ab Usai Roz Na Sochun TOu Badan Tutta Hai Faraz.
Aik Umer Ho Gai Hai Uski Yaad Ka NAsha KArte KArte?
Udasi Se Bhar Aye Ansoo Faraz
Ahmad Faraz Poetry
Sirf Chehre Ki Udasi Se Bhar Aye Ansoo Faraz,
Dil Ka Alam Tu Abhi Ap Ne Dekha Hi Nahi!!!!
Raat Bari Mushkil Se Sulaya
Ahmad Faraz Poetry
Raat Bari Mushkil Se Sulaya Hai Khud Ko Mene Faraz,
Ahmad Faraz Poetry
Raat Bari Mushkil Se Sulaya Hai Khud Ko Mene Faraz,
Warna Light K Baghair Kon Sota Hai ???
Chahat Bharay Wo Lafz
Ahmad Faraz Poetry
Chahat Bharay Wo Lafz Aur har LAfz Mein Dua Faraz,
Maqrooz Kar Dia Humain Tumhari Khaloos Nay
Mein Yunhi Bewafa
Ahmad Faraz Poetry
Hum Zamanay Mein Yunhi Bewafa Mashoor Ho Gaye Faraz,
Hazaroon Chahnay Waly Thay Kis Kis Say Wafa Kartay !!!!
Bas Yehi Soch Ker
Ahmad Faraz Poetry
Bas Yehi Soch Ker Tujhse Mohabbat Kerta Hoon Mein Faraz,
Mera To Koi Nahi Hai Magr Tera TU Koi Ho!!
Usey Taraash K Heera Bana
Ahmad Faraz Poetry
Usey Taraash K Heera Bana Diya Hum Ne Faraz,
Magar Ab Ye Sochte Hain USey KHaridain Kaise ..!!
Ansoo Hansi Hansi Mein
Ahmad Faraz Poetry
Ansoo Hansi Hansi Mein Nikal Aaye Q Faraz??
Bethe Bethe Ye Kaunse Ghum Yaad Agaye?
Kaat Kar Zuban Meri
Ahmad Faraz Poetry
Kaat Kar Zuban Meri Keh Raha Tha Wo FARAZ,
Ab Tumhe Ejazat hai Hal-e-Dil Sunane Ki.
Lamhy Yaad Rakhta Hoon
Ahmad Faraz Poetry
Main Logo?n Se Mulaqato?n K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon
Main Baatai?n Bhuul Bhi jao?n
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon
Sar-e-Mehfil Nigahai?n Mujh Pe
Jin Logo?n Ki Parti Hyn
Nigaho?n k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon
Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwa?yat Se
K Jin Pe Bojh Main Daalo?n
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon
Faraz? wo ankhain jheel c gehri tu hain magar!
Ahmad Faraz Poetry
Qurbaton men bhi judai ke zamane maNge
Dil vo bemehar ki rone ke bahane maNge
Apana ye hal ke ji har chuke luT bhi chuke
Aur muhabbat vahi andaz purane maNge
Ham na hote to kisi aur ke charche hote
Khalqat-e-shahar to kahane ko fasane maNge
Dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-`Faraz`
Mil gaye tum bhi to kya aur na jane maNge
wo ankhain jheel c gehri
Ahmad Faraz Poetry
Faraz? wo ankhain jheel c gehri tu hain magar!
un main koi aks meray nam ka nahin
Asahqi sy uski usy bewafa na jan!!
Aadat ki bat aur hai wo dil ka bura nahin
jis shahkas ko phoolon
Ahmad Faraz Poetry
Ahmad Faraz Poetry
Maine jis shahkas ko phoolon se sajaya tha ?Faraz?!!
Meray seene main usee shahkas ka kanta utra
Humaray
baad nahin ay ga
Ahmad Faraz Poetry
Humaray baad nahin ay ga tumhain chahat ka asa maza ?Faraz?!
Tum logon se kehtay phiroo gay mujhe chahao us ki tarah!
Unglian toot gaen
Ahmad Faraz Poetry
Unglian toot gaen pather tarashte tarashte ?Faraz?!!
Aur jab bani soorat-e-yaar tu kharidar aa gaye..
Ungliyan aaj bhi is soch me
Ahmad Faraz Poetry
Ungliyan aaj bhi is soch me ghum hai faraz
Usnay kaisay naye haath ko thaama hoga
Mili saza jo mujhe
Ahmad Faraz Poetry
Mili saza jo mujhe wo kisi khata pe na thi faraz
Mujh pe jurm jo saabit howa wo wafaa ka tha
Suna Hai Zindagi
Ahmad Faraz Poetry
Suna Hai Zindagi Imtehan Leti Hai FARAZ
Par Yahan To Imtehano Ne Zindagi Leli
ek bar chonk utha
Ahmad Faraz Poetry
Hansi ko main sun ek bar chonk utha ?Faraz?
Yah mujh main dukh chhupaane ka kamaal kaisey aa gaya!!
Haseen yadoon k kuch mousam
Ahmad Faraz Poetry
Haseen yadoon k kuch mousam usey arsal karnay hain ?FARAZ?!!
Suna hai shab ko ?tanhai? usey sonay nahin deti??..
Apne siwa bataao
Ahmad Faraz Poetry
Apne siwa bataao! kuch mila hai tumhein? Faraz ?
Hazaar baar lein hain tum ne mere dil ki talashiyaan
Main us ka hoon
Ahmad Faraz Poetry
Main us ka hoon ,ye raaz tu wo jan gaya hai ?Faraz?!!!
Wo kis ka hai ye sawal mujhe sonay nahin deta!
kon pareshan hota hai
Ahmad Faraz Poetry
kon pareshan hota hai teray gam say Faraz~!!!
woh apni hi kisi bat pay roya hoga ~
doobtay hue suraj ko FARAZ
Ahmad Faraz Poetry
woh roz dekhta hai doobtay hue suraj ko FARAZ!!!!!!!!!
kaash main bhi kisi shaam ka manzar hota
Jiska tum puchte ho
Ahmad Faraz Poetry
Jiska tum puchte ho wo mar gaya ?FARAZ?,
Usko kisi ki yaad ne zinda jala diya???.
Tera na ho saka
Ahmad Faraz Poetry
Tera na ho saka to mar jaunga ?Faraz?,
kitna khoobsurat wo jhuth bolta tha.
hathon ki lakeerain
Ahmad Faraz Poetry
bhala hathon ki lakeerain bhi mit?ti hain Faraz
kitna pagal hai mera naam mitanay wala
Shayad Tu Kabhi Pyasa
Ahmad Faraz Poetry
Shayad Tu Kabhi Pyasa Meri Taraf Laut Aaye ?Faraz?
Aankho?n Main Liye Phirta Hoon Darya Teri Khatir
?Faraz? Zulm Hy Itni
Ahmad Faraz Poetry
?Faraz? Zulm Hy Itni
Khud-Aitmadi Bhi
k Raa Bhi Thi Andheri
Aur Chiraag Bhi Na Lia
Tabeerain Kisi Ko Faraz
Ahmad Faraz Poetry
Bin Maange He Mil Jaati Hain Tabeerain Kisi Ko Faraz .
Koi Khaali Hath Reh Jaata Hai HAazaroon Duaaon K Baad .
aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
Ahmad Faraz Poetry
aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa
itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa
tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa
zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa
duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa ?Faraz?
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa
?Taash K pat0n ki Manind
Ahmad Faraz Poetry
?Taash K pat0n ki Manind
hai Zindagi meri..
~.Faraz.~
?Jis kisi ne bhi Khela
Taqseem mar diya Mujhe?!!!
ab aur kya kisi se marasim burha?ein hum
Ahmad Faraz Poetry
ab aur kya kisi se marasim burha?ein hum
yeh bhi bohut hai, tujhe bhool ja?ein hum
sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha
sunte rahe hein aap hi apni sada?ein hum
iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb
itna na yaad aa ke tujhe bhool ja?ein hum
tu itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq
aa tere raaste mein sitare lota?ein hum
woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz
heh heh khuda na karda tujhe bhi rula?ein hum
Shaam-e-Wada Sahi
Ahmad Faraz Poetry
Shaam-e-Wada Sahi, Dukh Zyada Hi Sahi, Phir Bhi Dekho
?Faraz?
Aaj Shab !! Us Ki Furqat Main Keh Lo Ghazal, Kal Usay Dekhna
? !!!
Kon Kehta Hy k Nafrato?n Main
Dard
Ahmad Faraz Poetry
Kon Kehta Hy k Nafrato?n Main Dard Hy ?Faraz?
Kuch Mohabbate?n Bhi Bari Aziyat-nak Hoti Hyn !!
Phir itne may0os kyun h0 us
Ahmad Faraz Poetry
Phir itne may0os kyun h0 us
ki bewaFayi par Faraz,
Tum khud hi t0h kehte thay k
w0h sab se Juda hai?!!!
Kiyon Tabiaat Kahin Theharti Nahi
Ahmad Faraz Poetry
Kiyon Tabiaat Kahin Theharti Nahi
Dosti Tau Udaas Karti Nahi
Hum Hamesha Ke Ser Chashm Sahi
Tujh Ko Dekhain Tau Aankh Bharti Nahi
Shab-e-Hijraan Bhi Roz-e-Bad Ki Tarah
Kutt Tau Jaati Hai Par Guzarti Nahi
Sher Bhi Aayton Se Kiya Kum Hein
Hum Pe Mana Wahi Utarti Nahi
Yeh Mohabbat Hai, Sun Zamany Sun
Itni Aasanion Se Marti Nahi
Jiss Tarah Tum Guzaarty Ho Faraz
Zindagi Iss Tarah Guzarti Nahi
Merey lafzon ki pehchan
Ahmad Faraz Poetry
merey lafzon ki pehchan agar wo ker leta faraz
usey mujh se nahi,khud se hi muhabbat ho jati!
nice heart touching wowwwwwwwwwww
ReplyDeletewoh its rocking
ReplyDeletepeerless poetry indeed...
ReplyDeletei am very hug fun of mr Faraz sab i like his Poetry
ReplyDeletefaraz!
Here is more collection of Ahmed Faraz Guys Ahmed Faraz Poetry
ReplyDeleteThis is great urdu poetry collection of Ahmed Faraz
ReplyDeleteKCH NZR HE NI ATA
ReplyDeleteAmazing
ReplyDeleteAmazing
ReplyDeleteMeal Inside
Amazing keep it up
ReplyDeleteWomen Fasion Hub
Shack Reviews
Press Release Update
Shack Reviews