Monday, January 21, 2013

Parveen Shakir:Justaju khoye huon kii umr bhar karate rahe

Parveen Shakir 
was a legendary female poet who started her professional career in her childhood. Her first book was “Khushbu”. Then she came up with other books named Sad-Barg, Khud’kalaami, and Inkar. Sadly, she died in a car accident while she was going to work in 1994.
We are always willing to add more and more poetry of her.





Justajuu khoye huon kii umr bhar karate rahe


justajuu khoye huon kii umr bhar karate rahe 
chaand ke hamraah ham har shab safar karate rahe 

raaston kaa ilm thaa ham ko na simton kii Khabar 
shahar-e-naamaaluum kii chaahat magar karate rahe 

ham ne Khud se bhii chhupaayaa aur saare shahar se 
tere jaane kii Khabar dar-o-divaar karate rahe 

vo na aayegaa hamen maaluum thaa us shaam bhii 
intazaar us ka magar kuchh soch kar karate rahe 

aaj aayaa hai hame.n bhii un udaanon kaa Khayaal 
jin ko tere zaum me.n be-baal-o-par karate rahe


No comments:

Post a Comment