Monday, January 14, 2013

Parveen Shakir: Hamare Darmiyan Aisa Koi Rishta

Parveen Shakir
Parveen Shakir was an Urdu poet, teacher and a civil servant of the Government of Pakistan. Shakir started writing at an early age and published her first volume of poetry, Khushbu [Fragrance], to great acclaim, in 1976. 


Hamare Darmiyan Aisa Koi Rishta





Hamare Darmiyan Aisa Koi Rishta Nahin Tha
Tere Shanon Pe Koi Chat Nahin Thi

Mere Zimme Koi Angan Nahin Tha
Koi Wada Teri Zanjir-E-Pa Banane Nahin Paya

Kisi Iqrar Ne Meri Kalai Ko Nahin Thama
Hawa-E-Dasht Ki Manind
Tu Azad Tha
Raste Teri Marzi K Tabe The
Mujhe Bhi Apni Tanhai Pe
Dekha Jaye To
Pura Tasarruf Tha

Magar Jab Aj Tu Ne
Rasta Badla
To Kuch Aisa Laga Mujh Ko
K Jaise Tu Ne Mujh Se Bewafai Ki

Harf E Taaza Naii Khushboo Mein Likha Chahta Hai
Baab Ik Aur Mohabbat Ka Khula Chahta Hai

Aik Lamhay Ki Tawajoo Nahi Hasil Uss Ki
Aur Yeh Dil Keh Ussay Hud Say Siwa Chahta Hai

Ik Hijaab Teh E Iqrar Hai Ma'nay Manay Warna
Gul Ko Maloom Hai Kaya Dast E Saba Chahta Hai

Rait He Rait Hai Iss Dil Mein Musafir Mairay
Aur Yeah Sehra Taira Naqash E Qaf E Pa Chahta Hai

Yehe Khamooshi Kai Rung Mein Zahir Ho Gi
Aur Kuch Roz Keh Woh Shokh Khula Chahta Hai

Raat Ko Maan Liya Dil Nay Muqadar Laykin
Raat Kay Haath Pay Aab Koi Diya Chahta Hai

Tairay Paymanay Mein Gardish Nahi Baqi Saqi
Aur Tairi Bezam Say Aab Koi Utha Chahta Hai

No comments:

Post a Comment