Monday, January 21, 2013

Parveen Shakir: Kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaauungii

Parveen Shakir 
was a legendary female poet who started her professional career in her childhood. Her first book was “Khushbu”. Then she came up with other books named Sad-Barg, Khud’kalaami, and Inkar. Sadly, she died in a car accident while she was going to work in 1994.
We are always willing to add more and more poetry of her



kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaauungii

kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaauungii 
main apane haath se us kii dulhan sajaauungii 

supurd kar ke use chaandanii ke haathon 
main apane ghar ke andheron ko lauT aauungii 

badan ke karb ko vo bhii samajh na paayegaa 
main dil mein rouungii aankhon mein muskuraauungii 

vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye 
main kis se ruuTh sakuungii kise manaauungii

vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahiin lekin 
main ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukaauungii 

bichhaa diyaa thaa gulaabon ke saath apanaa vajuud 
vo so ke uThe to Khvaabon kii raakh uthaauungii 

ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa 
main kis kii nazm akele mein gungunaauungii 

javaz DhuuNDh rahaa thaa naii muhabbat kaa 
vo kah rahaa thaa ke main us ko bhuul jaauungii 

sama'aton mein ghane jangalon kii saansen hain
main ab kabhii terii aavaaz sun na paauungii



.

1 comment: